Monday, January 19, 2009

Dookh ne eak pal saath na chora

Dard ke daastaan badi lambi hai
Dookh ne eak pal saath na chhora

Sookh mujhe tarsaata raha
Door door se dekh khushi ko

Man ko mere behlata raha
Her taraf rang hai umang hai

Jahaan bhi dekho khushboo hai bahar hai
Tanha dil ko mai samjhata raha

Aur baharow ka mausam mujhe chidhata raha
Taskeen ka eak pal na mila

Chain mera her ghadi beaabroo mila
Apne haathow mei chehra chupaker

Andhere ka darr bhagata raha
Jab bhi dekhi perchai apni

Laga dost purana aagya

Has ke muskura ke mai mila
Uski chuppi bhram todta raha

Haath ke rekha mei dhoonda kavi toh
Dhoonda kavi taqdeer ke keetab mei

Eak chehra jo kho gya hai na mila
Mai panne der panne palatha raha

Kuch saans bachi thi aakhri
Sitamgaarh dekhta aake jara

Mai raastow pe teri her pal
Intzaar ke palkein bichhai rakha

Dookh ne eak pal saath na chora
Sookh mujhe tarsaata raha

No comments: